Wednesday 30 October, 2013

तेरे भीगे बदन की खुशबू से लहरें भी हुईं मस्तानी सी
तेरा ज़ुल्फ़ को छूकर आज हुई ख़ामोश हवा दीवानी सी।
ये रूप का कुंदन दहका हुआ ये जिस्म का चंदन महका हुआ
इलज़ाम न देना फिर मुझको हो जाए अगर नादानी सी।
बिखरा हुआ काजल आँखों में तूफ़ान की हलचल साँसों में
ये नर्म लबों की ख़ामोशी पलकों में छुपी हैरानी सी।

Friday 31 May, 2013

Mir ki ek behtareen ghazal


Mir Taqi Mir ki yeh ek behtareen ghazal hai jise Begum Akhtar ne bhi pesh kiya hain…. lekin jaise hota hain sab sher istemaal nahi kiye nahi unhone. Ho sakta hain ke kuch logon ne suni hogi, to yeh sab hazraat yahan mukhamal ghazal pa sakte hain. Jinehe yeh mauqa nahi mila ke “Mallika-e-Mausiqi” ko sune ya Mir ya Urdu shayri se ab tak mahroom rahe hain woh is se pehchan kar sakte hain…. gar woh chaahe.
Mir ke kalam mein ek maayusi paayi jaati hai…. jiski wajah woh tabaahi thi jo unhone apni zindagi mein dekhi thi. Main yahan tareekh mein nahi jaaunga lekin sirf is ghazal se hawaale yeh zikr kar raha tha…. is mein kuch sher mein maayusi ubhar kar aati hain aur kuch mein tanz-o-mizah ki jhalak hain.. Khair aap khud hi dekhen.
Ulto ho gayi sab tadbiren kuch na dawa ne kaam kiya
Dekha is beemar-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

Ahd-e-jawaani ro ro kaati peeri mein li ankhen mund
Yaani raat bahut the jaage subah hui aaraam kiya

Nahak hum majbooron par tohmat hain mukhtaari ki
Chahte hain so aap karen ham ko abas badnaam kiya

Saare rind aubash jahan ke tujh se sujood mein rahte hain
Banke terhe tirche teekhe sab ka tujhe Imaam kiya

Sarzad ham se adbi to vahshat mein bhi kam na hui
Koso uski or gaye par sajda har har gaam kiya

Kiska kaaba kaisa kibla kaun haram hai kya ahraam
Kuche ke uske bashindon ne sab ko yahi se salaam kiya

Yaan ke supaid-o-siyah mein ham ko dakhl jo hai so itna hai
Raat ko ro ro ke subha kiya ya ndin ko joon joon shaam kiya

Subhah-e-chaman mein usko kaahe taklif-e-hawa le aayi thi
Rukh se gul ko mol liya kamat se saari ghulaam kiya

Said-e-simi dono uske haath mein lekar chorh diya
Bhoole uske kaul-o-qasam par hai khayal-e-kaam kiya

Aise aah-o-ehraam-khurda ki vahshat khoni mushkil thi
Sihar kiya aijaz kiya, jin logon ne tujh ko raam kiya

‘Mir’ ke deen-o-mazaab ko ab puchhte kya ho un ne to
Qashqa khainche dair mein baithe kab ka tark islaam kiya..




Ghajal


Rajn kheen Chey They Daagh Khaaye They 
Dil Ne Sadmey Badey Uthaaye They 

Wohi Samjhaa Na Warnaa Hum Ne To 
Zakhm Chaati Ke Sab Dikhaaye They 

Kuch Na Samjhey Ke Tujh Se Yaaron Ne 
Kis Tawaq'Qo Pe Dil Lagaye They 

Fursat-e-Zindagi Se Mat Poocho 
Saans Bhi Hum Na Leyney Paaye They 

MEER SAAHAB Rulaa Gaye Sab Ko 
Kal Woh Tashreef Yahan Bhi Laaye They .....

Ghajal


Ranj kheen Chey They Daagh Khaaye They 
Dil Ne Sadmey Badey Uthaaye They 

Wohi Samjhaa Na Warnaa Hum Ne To 
Zakhm Chaati Ke Sab Dikhaaye They 

Kuch Na Samjhey Ke Tujh Se Yaaron Ne 
Kis Tawaq'Qo Pe Dil Lagaye They 

Fursat-e-Zindagi Se Mat Poocho 
Saans Bhi Hum Na Leyney Paaye They 

MEER SAAHAB Rulaa Gaye Sab Ko 
Kal Woh Tashreef Yahan Bhi Laaye They .....

Monday 20 May, 2013

Sad Shayriyan


Mahfilein Sajti Hai Roz, Sajti Rahengi
Jaam Hote Nahi Sab Peene Pilaane Waale
Aasteen Mein Chhuriya Leke Ghoomte Hai Sab
Dost Hotey Nahi Sab Hath Milane Waale…




Dil Ke Khareed Daar Toh Hazaar Mil Jayenge
Dhokha Dene Wale Aapko Hazaar Mil Jayenge
Hum Jaisa Dost Na Mil Payega Aapko
Bewafa Yaar Toh Beshumaar Mil Jayenge…




Uske Bina Ek Pal Bhi Guzara Nahin
Kisi Aur Ko Humne Dil Mein Utara Nahin
Rukna Kyat Ha Hum Toh Saans Bhi Rok Lete
Par Tumne Dil Se Kabhi Pukara Nahin!




Hamse Kare Woh Pyar
Izhaar Kisi Aur Se Kare
Khuda Kare Jis Se Kare Woh Izhaar
Woh Bhi Pyar Kise Aur Se Kare…



Log puchte hain kyu surkh hain tumhari aankhein,
Hans ke keh deti hoon raat ko so na saki,
Laakh chahoon bhi magar ye keh na sakoon,
Raat ko rone ki hasrat thi magar ro na saki..



Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga,
Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga,
Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum,
Hamein logon ki khatir muskurana hoga..



Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo….



Kuch Shayriyaan


Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe…




Tum dil se hamein yon pukara na karo,
Yon tum hamein ishara na karo,
Door hain tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo …




Ishq Key Khayaal Bohat Hain..
Ishq Key Charche Bohat Hain..
Sochte Hain Hum Bhi Kar Le Ishq..
Par Sunte Hain Ishq Mein Kharche Bohat Hain..




Unko Yeh Lagta Hai Hum Unpe Marte Hain
Humko Yeh Lagta Hai Ke Who Hum Pe Marte Hain
Daur Zindagi Ka Guzar Jayega Yoon Hi Humdum
Na Who Kuchh Poochhte Hain Humsey..
Na Hum Kuchh Keh Paate Hain…




udai Key Lamhe Beqarar Karte Hain
Mere Halaat Hi Mujhe Lachaar Karte Hain
Kabhi Toh Pad Leti Aankhein Meri..
Kaise Khud Kahein Hum Key Tumhi Se Pyar Karte Hain…




Zindagi Mein Kabhi Kabhi Aesa Bhi Hota Hai..
Kuchh Sach Tay Karna Mushkil Hota Hai
Ikk Jhooth Jo Muskaan Lata Hai Chehre Pe
Ya Who Ikk Sach Jo Aankhon Mein Pani Lata Hai!



Friday 12 April, 2013

इश्क़ मुझको नहीं


इश्क़ मुझको नहीं, वहशत1 ही सही 
मेरी वहशत तेरी शोहरत ही सही 

क़त्अ2 कीजे, न तअल्लुक़3 हम से
कुछ नहीं है, तो अदावत4 ही सही

मेरे होने में है क्या रुसवाई5 
ऐ वो मजलिस नहीं, ख़ल्वत6 ही सही 

हम भी दुश्मन तो नहीं हैं अपने
ग़ैर को तुझसे मुहब्बत ही सही 

हम कोई तर्के-वफ़ा करते हैं 
ना सही इश्क़, मुसीबत ही सही 

हम भी तस्लीम की ख़ू7 डालेंगे 
बेनियाज़ी8 तेरी आदत ही सही 

यार से छेड़ चली जाए 'असद'
गर नहीं वस्ल तो हसरत ही सही !

मिर्ज़ा ग़ालिब